शनिवार, 22 जनवरी 2011

एक मधेसी से दूसरा मधेसी परेशान


prabhat ray bhatt, on April 19, 2010 at 7:29 pm said:
samasaya din pe din badhti hi jarahi hai, kal tak hume apne man samman huk adhikar ki phikar thi to aaj hume apni jan-dhan aur izat ki khatra najar araha hai. madhesh me har din sunaneko milta hai. . . .hatya atank,chanda,apharan,chori aur dakaiti ki sanjal phailtahi jaraha hai.ashiksha, udand, daman ashisht samaj ki prabirti badhtahi jaraha hai .jiski lathi ushki bhainsh bali kahabat aj humare madhesh me charitarth ho raha hai.sadhu sant sajanbrind ko jina muhal ho gaya hai. ek tarf hum apni adhikar surachhit karne ke liye sarkar se lad rahe hai dushri taraf hume apnehi samuday ke log se khatra badh raha hai. to kya hum chup chap ye tandab dekhte rahenge ya kuch karenge ? hum sare yuwa milenge to ek nayi soch paida hoga samajme bikritinya rokne ki jagrukta failegi.aur hum yuwa ek swakchh, sabal, swashth, shikshit abam Aadarsh madhesh samaj ki nirman kar sakte hain.aur ye humari mulbhut kartabya hai.kyu ki yuwa pidhi se hi samaj ki nirman hoti hai.hume apna ghar khud banana padega nahi to kal Aanewala pidhi hume prashan ki ghero me gher lega aur humare pas koi jawab nahi hoga.to Aao humare madhes ki yuwa kyu ki neta ho tumhi humareliye.khatam kardo hatya hinsh aur julm sadiyon ke liye !!!!!!! jay madhes. . . . . . . .jay matribhumi

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

b